[1] Darood gunaho ka kafara hai [2] Darood se amal pak hota
hai [3] Darood padhne se darajat buland hote hai [4] Darood padhne ke liye ek
qirat ajar likha jata jo ke uhud pahad jitna hota hai [5] Darood padhne wale ko
pemane bhar bhar ke sawab milta hai [6]Jo shakash darood ko hi apna wazeefa
bana leta hai Allah ...pak us ke duniya aur aakhirat ke kaam apne zime le leta
hai [7] Darood padhne ka sawab ghulam azad karne se bhi afzal hai [8] Darood
padhne wala har kisam ki musibat se nijat pata hai [9] Waliye do jahan nabi
karim (s.a.w) darood padhne wale ke imaan ki khud gawahi denge [10] Darood
padhne wale par Aqa do jahan ki shifa’at wajib hojati hai [11] Darood padhne
wale ke liye Allah Ta’ala ki raza aur rehmat likh di jaati hai [12] Allah
Ta’ala ke ghazab se aman likh diya jata hai [13] Us ki peshani pe likh diya
jata hai ke yeh nifaq se bari hai [14] Likh diya jata hai ke yeh dozakh se bari
hai [15] Darood padhne wale ko roz-e-hashar Arsh-e-Ilahi Ke neeche jagah di
jayegi [16] Darood padhne wale ki nekiyoun ka pallada wazani hoga [17] Darood
padhne wale ke liye jab woh Hoz-e-Kausar par jayega tab khasosi inayat hogi
[18] Darood padhne wala qayamat ke din sakhat pyaas se aman mai hoga [19] Woh
pul siraat se tezi aur asani se guzar jayega [20] Pul sirat par use noor ata
hoga [21] Darood padhne wala maut se pehle apna muqam jannat mai dekh leta hai
[22] Darood ki barkat se maal badhta hai [23] Darood padhna ibadat hai [24]
Darood padhna Allah Ta’ala ko humare sab amalo se zayada pyara hai [25] Darood
pak majliso ki zeenat hai [26] Darood pak tangdasti ko dur karta hai [27] Jo
darood padhe ga woh roz-e-hashar Madani aqa ke sab se zayada qareeb hoga [28]
Darood agar padh kar kisi marhoom ko bakhsha jaye to use bhi nafa deta hai [29]
Darood padhne se Allah Ta’ala aur uske habib ka qurb naseeb hota hai [30]
Darood padhne se dushmano par fatah aur nusrat hasil hoti hai [31] Darood
padhne wale ka dil zang se pak hojata hai [32] Darood pak padhne wale shakash
se log mohabbat karte hai [33] Darood padhne wala logo ki ghibat se mehfooz
rehta hai [34] Sab se badi naimat darood padhne ki yeh hai ke use khawab mai
pyaare pyaare aqa ki ziyarat hoti hai [35] Ek bar darood padhne se 10 gunah
maaf hote hai 10 nekiyan milti hai 10 darje buland hote hai 10 rehmate naazil
hoti hai [36] Darood padhne wale ki dua hamesha qabul hoti hai [37] Darood
padhne wale ka kandha(shoulder) jannat ke darwaze par nabi (s.a.w) ke kandhe
mubarak ke saath chu (touch) jayega SUBHAN ALLAH [38] Darood padhne wala
qayamat ke din sab se pehle aqa ke pas pohanch jayega [39] Darood padhne wale
ke sare kamoun ke liye qayamat ke din inayat hogi [40] Darood padhna duniya aur
aakhirat ke har dar 0 gham ka wahid elaz hai [41] Darood ruhaniyat ke khazane
ki chabbi hai [42] Darood pak aashiqo ki meeraj hai [43] Darood pak padhna
munafa he munafa hai aur yeh munafa darood padhne wale ko jannat tak pohancha
deta hai [44] Darood pak Allah Ta’ala ki narazgi se bachne ka asan amal hai
[45] Darood ek aisi ibadat hai jis ka faida usi ki taraf laut ta hai jo isko
padhta hai [46] Darood pak padhna aisa hai ke jesa apni zaat ke liye dua karna
hai [47] Darood pak padhne wala ruhaani taur par tarbiyat-e-Muhammad (s.a.w)
mai hota hai [48] Darood ki kasrat karna ahl-e-sunnat ki allamat hai [49]
Darood padhne wala har majlis mai zaib 0 zeenat hasil karta hai [50] Darood pak
padhne wale ko baroz-e-hashar maidan-e-hashar mai jannat ki rahein khuli
milengi Inshallah [51] Darood pak padhne wale ke badan se khusbu aaya karegi
[52] Darood padhne wale ko hamesha neki karne ki khawahish raha karegi [53]
Darood padhne wale ka naam bargahe risalat mai liya jayega [54] Darood padhne
wala marne tak imaan par qaim rahega [55] Darood padhne wale ke liye zameen 0
aasman walo ki duaein waqaf rahengi [56] Darood pak padhne wale ko zaat mai
aamal mai umar mai aulaad mai aur maal 0 asbab mai barkat hogi jiske 4 pushto
tak aasar zahir honge [57] Darood padne wale ka ghar roshan rahega [58] Darood
padhne wale ka chehra purnur aur guftar mai halawat hogi [59] Darood pak
padhnewale ki majlis mai bethne wale ki majlis mai log khush honge [60] Darood
pak padhne wale ki daawat ka sawab 10 gune hoga [61] Darood padhne wala
farishto ka imam banega [62] Darood padhne wala Huzur ki qaul 0 fail ki itaba
karega [63] Darood pak padhne wale ki kashti toofano se Inshallah par hogi [64]
Darood padhne wala hamesha naik hidayat hasil karega [65] Darood pak padhne
wala thode hi arse mai ghani hojata hai [66] Darood padhne wala duniya mai
maroof hojata hai [67] Darood padhne wale shakash ki zuban se maidan-e-hashar
mai noor ki kiranein nikalen gi [68] Darood pak se aankho ko noor milta hai
[69] Darood se sehat barqarar rehti hai [70] Darood se aqa ki mohabbat ka jazba
aur badhta hai [71] Darood padhne wale ko kisi ki mohtaji na hogi [72] Jaan
asani se niklegi [73] Qabar mai wusa’at hogi [74] Niza ka waqat asan hoga [75]
Tamam kam asan ho jayenge [76] Musalman jab tak mujh par darood padhta hai
farishte us par rehmat bhejte rehte hai ab yeh insaan ki marzi hai ke kam le ya
zayada [77] Namaz ke baad hamd 0 sana 0 darood padhne wale se kaha jata hai
“DUA MANG QABOOL KI JAYEGI SAWAL KAR DIYA JAYEGA” [78] Jibrail (A.S) ne mujh se
arz kiya ke Rab Ta’ala farmata hai aye Muhammad (s.a.w) kya tum is baat pe
raazi nahi ke tumhara ummati tum par ek salam bheje mai us par 10 salam bhejoun
[79] Jis ne mujh par 10 martaba darood padha Allah us par 100 rehmatein nazil
karta hai [80] Jis ne mujh par 100 martaba darood bheja Allah Ta’ala uski dono
aankho ke darmayan yeh likh deta hai ke yeh nifaq aur jahanum ki aag se azad
hai aur use baroz-e-qayamat shuhada ke saath rakhega [81] Jo mujh par ek din
mai 1000 martaba darood padhega woh us waqat tak nahi marega jab tak ke woh
apna muqam jannat mai na dekh le [82] Jis ne din aur raat mai shoq 0 mohabbat
ki waja se mujh par 3 /3 martaba darood padha to HaqTa’ala us ke us din aur
raat ke gunah bakash deta hai [83] Beshak tumhare naam bama shinakhat mujh par
pesh kiye jaate hai lihaza mujh par ehsan yaani khoobsoorat alfaz mai darood
padho [84] Beshak hazrat jibreel (A.S) ne mujhe basharat di ke “jo Aap (S.a.w)
par darood padhta hai Allah Ta’ala us par rehmat bhejta hai aur jo Aap (s.a.w)
par salam padhta hai Allah us par Salamti bhejta hai [85] Mujh par darood ki
kasrat karo beshak yeh tumhare liye taharat hai [86] Allah pak ki khatir aapas
mai mohabbat rakhne wale jab baham mile aur musahfa kare aur nabi par darood
bheje to un ke juda hone se pehle un ke agle pichle gunah baksh diye jaate hai
[87] Jis ne kitab mai mujh par darood likha to jab tak mera naam us mai rahega
farishte us ke liye astagfar karte rahenge [88] Aye logo beshak qayamat ke din
uski dehshaton aur hisab kitab se jald nijat hogi jis ne duniya mai kasrat se
darood padha [89] Jis ko yeh pasand ho ke Allah Ta’ala ki bargah mai pesh hote
waqat Allah us se Raazi ho to use chaiye ke woh darood ki kasrat kare [90] FARZ
hajj karo beshak us ka ajar 20 ghazwat mai shirkat karne se zayada hai aur Mujh
par 1 martaba durood padhna us ke barabar hai [91] Jo mujh par din mai 100
martaba darood padhega Allah Ta’ala us ki 100 hajat puri farmayega [92] Beshak
mujh par darood padho mai tamam jahano ke rab ka rasool houn [93] Darood
shareef padhna tumhare liye qayamat mai noor hoga [94] CHAMAKTI RAAT [SHAB-E-
JUMA] AUR ROSHAN DIN [JUME KA DIN] {YANI JUMERAAT KA AFTAB GHAROOB HONE SE JUME
KA SOORAJ DOOBNE TAK } MUJH PAR DAROOD KI KASRAT KARO JO AISA KAREGA QAYAMAT KE
DIN MAI US KA SHA’AFI AUR GAWAH BANOUGA Inshallah [96] Jo jumah ke din mujh par
80 bar darood bhejega uske 80 saal ke gunah maaf honge Inshallah [97] Jo shaksh
Jumah ke din Mujh par 100 martaba darood padhega to qayamat ke din jab woh
aayega to us ke saath ek aisa noor hoga ke agar woh saari makhloq ko taqseem
kar diya jaye to woh sab ko kifayat kare [98] Jis ne Juma ke din mujh par 200
martaba darood padha Allah Ta’ala us ke 200 saal ke gunah maaf farmayega
Inshallah [99] Jumeraat aur shab-e-jumah ko jo mujh par 100 martaba darood
padhega to Allah Ta’ala uski 100 hajatein poori karega jis mai Se 70 Akhirat ki
Aur 30 duniya ki Inshallah [100] FARMANE-ABDULLAH-IBN-UMAR-0 BIN-AAS (R.A) HAI
“jo nabi pak par ek baar darood padhe to Allah Ta’ala aur malaika us par 70
martaba rehmat bheje
Darood pak ke 100 fazayel
What is Islam? I’ll tell you about islam
What is love? I’ll tell you about it
Why Peoples Don’t care?
Darood pak ke 100 fazayel
What is Islam? I’ll tell you about islam
What is love? I’ll tell you about it
Why Peoples Don’t care?
No comments:
Post a Comment